main teri hi aawaz hun aur gunj raha hun
ai dost mujhe sun ki main gumbad ki sada hun
jis rah se pahle koi ho kar nahin guzra
us rah pe main naqsh-e-qadam chhoD raha hun
main apne usulon ka garan bar uThae
har waqt hawaon ke muKHalif hi chala hun
be-maya hababo mujhe dekho ki adam se
main su-e-abad sail ki surat mein baha hun
har asr ki taKHliq mein kuchh hath hai mera
main waqt ke zindan mein bhi aazad raha hun
sadiyon se main apne ko banane mein hun masruf
banda hun magar ghaur se dekho to KHuda hun
haalat ki gardish se hirasan nahin 'jawed'
main gardish-e-aflak ki godi mein pala hun
Ghazal
Main teri hi aawaz hun aur gunj raha hun
Abdullah Javed