اردو हिंदी
Main tair-e-wajud ya barg-e-KHayal tha | Shaahi Shayari
main tair-e-wajud ya barg-e-KHayal tha

Ghazal

Main tair-e-wajud ya barg-e-KHayal tha

Farooq muztar

;

main tair-e-wajud ya barg-e-KHayal tha
bas is qadar hai yaad ki main Dal Dal tha

lamhon mein mujh ko banT gaya koi kala hath
warna main aap apna tulu-o-zawal tha

chehre khuli kitabon ki manind the magar
be raushnai likkhe ko paDhna muhaal tha

'muztar' har aaine mein tha aks-e-bahaar bas
main apni aarzu se bahut paemal tha