main sunta rahta hun naghme kamal ke andar
kai sadaen parindon mein Dal ke andar
jo wahime mera andar ujaD sakte hain
main rakh raha hun unhen bhi sambhaal ke andar
tamam masale nauiyat-e-sawal ke hain
jawab hote hain sare sawal ke andar
jagah jagah pe koi to hazar-ha nashtar
utarta hai rag-e-ehtimal ke andar
tarah tarah ke gulab aatishin salaKH ke sath
nikal lata hun suraKH Dal ke andar
ye silsila zara mauquf ho to dekhunga
KHayal aur hain kitne KHayal ke andar
taDapte rahte hain dil ke nawah mein 'jawed'
bahut se azhdahe jibhen nikal ke andar
Ghazal
Main sunta rahta hun naghme kamal ke andar
Iqtidar Javed