main sozish-e-gham-e-dauran se yun jala KHamosh
ki jaise bazm mein jalta ho ek diya KHamosh
ye aur baat ki honTon pe lafz bikhre the
magar tha bolne walon ka muddaa KHamosh
abhi na chheDiye KHwabida mausamon ka mizaj
abhi hai raat ke aanchal mein har faza KHamosh
meri sarisht mein KHamoshiyon ka zahar na ghol
na rah sakega mera zauq-e-haq-nawa KHamosh
badan ki qaid mein chiKHen na ghuT ke mar jaen
sisakte karb ko kyun tum ne kar diya KHamosh
lahakti aankh dhaDakte dilon ke pas na la
guzar na jae kahin koi hadisa KHamosh
har ek samt hai bikhra hua sukut 'azar'
idhar hain dewta patthar udhar KHuda KHamosh

Ghazal
Main sozish-e-gham-e-dauran se yun jala KHamosh
Mushtaq Aazar Fareedi