main sochta tha ki wo zaKHm bhar gaya ki nahin
khula daricha dar aai saba kaha ki nahin
hawa ka ruKH to usi baam-o-dar ki jaanib hai
pahunch rahi hai wahan tak meri sada ki nahin
zaban pe kuchh na sahi sun ke mera haal-e-tabah
tere zamir mein ubhri koi dua ki nahin
labon pe aaj sar-e-bazm aa gai thi baat
magar wo teri nigahon ki iltija ki nahin
KHud apna haal sunate hijab aata hai
hai bazm mein koi derina aashna ki nahin
abhi kuchh is se bhi nazuk maqam aaenge
karun main phir se kahani ki ibtida ki nahin
paDho na ishq mein 'KHurshid' hum na kahte the
tumhin batao ki ji ka ziyan hua ki nahin
Ghazal
Main sochta tha ki wo zaKHm bhar gaya ki nahin
Khursheed Rizvi

