main sochta hun kabhi aisa ho na jae kahin
ki KHwab aankh mein ho aankh so na jae kahin
main jaanta hun bahut roz wo na Thahrega
magar is arse mein wo zahr bo na jae kahin
jo ek aks banaya tha pichhli barish ne
wo shakl ab ke se barsat dho na jae kahin
use ye shikwa ki main ne na puchha haal us ka
mujhe ye KHauf mein bola to ro na jae kahin
baDhi jo umr to ab tajraba satane laga
hai Dar ki buDha shajar hum se kho na jae kahin
baDon ke faiz se hasil hai shams' ko ye kamal
ki us ke sath jo aa jae to na jae kahin
Ghazal
Main sochta hun kabhi aisa ho na jae kahin
Shams Tabrezi