اردو हिंदी
Main sochta hun agar is taraf wo aa jata | Shaahi Shayari
main sochta hun agar is taraf wo aa jata

Ghazal

Main sochta hun agar is taraf wo aa jata

Aftab Hussain

;

main sochta hun agar is taraf wo aa jata
charagh-e-umr ki lau ek zara baDha jata

ajib bhul-bhulayyan hai rasta dil ka
yahan to KHizr bhi hota to Dagmaga jata

so apne hath se din bhi gaya hai duniya bhi
ki ek sire ko pakaDte to dusra jata

magar nahin hai wo masruf-e-naz itna bhi
kabhi kabhi to koi rabta kiya jata

kabhi wo pas bulata to ye dil-e-durwesh
bas ek ishaara-e-abru pe jhumta jata

palaT raha hun usi yar-e-mehrban ki taraf
ab is qadar bhi nahin bewafa hua jata

palaT gaya inhin qadmon se 'aftab-husain'
kahan talak wahi haalat dekhta jata