اردو हिंदी
Main shoala-e-izhaar hun kotah hun qad tak | Shaahi Shayari
main shoala-e-izhaar hun kotah hun qad tak

Ghazal

Main shoala-e-izhaar hun kotah hun qad tak

Farigh Bukhari

;

main shoala-e-izhaar hun kotah hun qad tak
wusat meri dekho to hai diwar-e-abad tak

mahaul mein sab gholte hain apni siyahi
ruKH ek hi taswir ke hain nek se bad tak

kuchh fasle aise hain jo tai ho nahin sakte
jo log ki bhaTke hain wo bhaTkenge abad tak

kab tak koi karta phire kirnon ki gadai
zulmat ki kaDi dhup to Dasti hai abad tak

yun ruThe muqaddar ki koi kaam na ban pae
yun TuTe sahaara koi pahunche na madad tak

ab bhi tere nazdik muwahhid nahin 'farigh'
iqrar kiya hai tera inkar ki had tak