main 'shad' tanha ek taraf aur duniya ki duniya ek taraf
sara samundar ek taraf aansu ka qatra ek taraf
us aafat-e-jaan ko bhi chehra to dikhana hi na tha
ek samt isa dam-ba-KHud ghash mein hai musa ek taraf
apne samand-e-naz ko ai shahsawar aa chheD kar
saf-basta hazir kab se hain mahw-e-tamasha ek taraf
saqi baghair ahwal ye pahuncha hai mai-KHane ka ab
jam ek taraf hai surangon KHali hai mina ek taraf
furqat mein sab achchhe rahe dil ka magar ye haal hai
zaKHm ek taraf baDhta gaya dagh-e-suwaida ek taraf
didar-e-jaanan ka bhala kyun kar tahammul ho sake
tirchhi nigahen ek su zulf-e-chalipa ek taraf
wo tegh le ke kahte hain dekhun to haq par kaun hai
main ek taraf 'shad' ek taraf sara zamana ek taraf
Ghazal
Main shad tanha ek taraf aur duniya ki duniya ek taraf
Shad Azimabadi

