اردو हिंदी
Main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe | Shaahi Shayari
main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe

Ghazal

Main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe

Ameer Minai

;

main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe
zamin rahe na rahe aasman rahe na rahe

rahe wo jaan-e-jahan ye jahan rahe na rahe
makin ki KHair ho ya rab makan rahe na rahe

abhi mazar par ahbab fatiha paDh len
phir is qadar bhi hamara nishan rahe na rahe

KHuda ke waste kalma buton ka paDh zahid
phir iKHtiyar mein ghafil zaban rahe na rahe

KHizan to KHair se guzri chaman mein bulbul ki
bahaar aai hai ab aashiyan rahe na rahe

chala to hun pae izhaar-e-dard-e-dil dekhun
huzur-e-yar majal-e-bayan rahe na rahe

'amir' jama hain ahbab dard-e-dil kah le
phir iltifat-e-dil-e-dostan rahe na rahe