اردو हिंदी
Maine socha tha mujhe mismar kar sakta nahin | Shaahi Shayari
maine socha tha mujhe mismar kar sakta nahin

Ghazal

Maine socha tha mujhe mismar kar sakta nahin

Bharat Bhushan Pant

;

main ne socha tha mujhe mismar kar sakta nahin
aks to mujh par palaT kar war kar sakta nahin

aaina zahir to kar sakta hai KHadd-o-KHal ko
aaina ehsas ka izhaar kar sakta nahin

meri chahat aur hai mere masail aur hain
KHud ko main har baat par tayar kar sakta nahin

KHud se samjhauta kiya hai zindagi ke nam par
is se baDh kar zindagi ko pyar kar sakta nahin

ya to apne jism ki had se nikalna chhoD de
saya hai to dhup se inkar kar sakta nahin

kashtiyan bhi chahiye aur naKHuda bhi chahiye
tu samundar tair kar to par kar sakta nahin

is se behtar hai ki ye azm-e-safar hi chhoD de
raste ko tu agar hamwar kar sakta nahin