main ne socha tha is ajnabi shahr mein zindagi chalte-phirte guzar jaegi
ye magar kya KHabar thi taaqub mein hai ek nadida zanjir-e-hamsaegi
ye daraKHton ke sae jo chup-chap hain hum mohabbat-zadon ke ye hamraaz hain
ab yahin dekhna raat pichhle pahar do dhaDakte dilon ki sada aaegi
gham ka suraj Dhala dard ka chand bhi bujh chale aansuon ke diye aaj bhi
aur isi soch mein ab sahar aaegi ab sahar aaegi ab sahar aaegi
lakh phulon pe pahre biThate rahen lakh unchi fasilen uThate rahen
jaegi su-e-gulzar jab bhi saba apni aawaz-e-zanjir-e-pa jaegi
raushni shama ki KHud gulu-gir hai hansna tahzib hai jalna taqdir hai
wo magar qatra-e-ashk-e-shabnam jise subh ki sab se pahli kiran paegi
Ghazal
Maine socha tha is ajnabi shahr mein zindagi chalte-phirte guzar jaegi
Rasa Chughtai