main ne sirf apne nasheman ko sajaya sal bhar
fasl-e-gul bhi is liye aai hai ab ke Dal bhar
bad-gumani aai to le jaegi rishte tamam
dekhna niklegi in shishon ki hasti baal bhar
wo zamana Thik tha iman lane ke liye
haidar-e-karrar bhar KHair aur shar dajjal bhar
aaj meri arz par zulfen agar kholega wo
kal hasad ki aag mein jal jaega bangal bhar
kar diya chaak-e-gareban ne tujhe bhi mo'atabar
chal diwane tu bhi ab jeb-e-junun mein mal bhar
sajda bhar iman baqi rah gaya hai shaiKH ka
aur aqidat-e-barahman ki rah gai hai thaal bhar
nek-o-bad ki kashmakash mein hain kiraman-katibin
chal 'shuja' ab KHud hi apna nama-e-amal bhar
Ghazal
Maine sirf apne nasheman ko sajaya sal bhar
Shuja Khaavar

