اردو हिंदी
Maine roka bahut par gae sab ke sab | Shaahi Shayari
maine roka bahut par gae sab ke sab

Ghazal

Maine roka bahut par gae sab ke sab

Khawaja Javed Akhtar

;

main ne roka bahut par gae sab ke sab
jaane phir kya hua Dar gae sab ke sab

dost kya ab to dushman bhi mafqud hain
baat kya hai kahan mar gae sab ke sab

har-qadam par zamana muKHalif raha
kaam apna magar kar gae sab ke sab

din mein suraj ke the ham-safar din Dhale
le ke mayusiyan ghar gae sab ke sab

peD sukhe the qudrat bhi thi mehrban
aaj phal-phul se bhar gae sab ke sab

kya KHata thi kisi ne bataya nahin
mujh pe ilzam kyun dhar gae sab ke sab

aap tanha bache hain meri bazm mein
warna 'jawed'-aKHtar gae sab ke sab