main ne kis shauq se ek umr ghazal-KHwani ki
kitni gahri hain lakiren meri peshani ki
waqt hai mere taaqub mein chhupa le mujh ko
ju-e-kam-ab qasam tujh ko tere pani ki
yun guzarti hai rag o pai se teri yaad ki lahar
jaise zanjir chhanak uThti hai zindani ki
ajnabi se nazar aae tere chehre ke nuqush
jab tere husn pe main ne nazar-e-sani ki
mujh se kahta hai koi aap pareshan na hon
meri zulfon ko to aadat hai pareshani ki
zindagi kya hai tilismat ki wadi ka safar
phir bhi fursat nahin milti mujhe hairani ki
wo bhi the zikr bhi tha rang-e-ghazal ka 'shabnam'
phir to main ne sar-e-mahfil wo gul-afshani ki
Ghazal
Maine kis shauq se ek umr ghazal-KHwani ki
Shabnam Rumani