اردو हिंदी
Maine kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo | Shaahi Shayari
maine kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo

Ghazal

Maine kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo

Sirajuddin Zafar

;

main ne kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo
us ne kaha ye baat supurd-e-butan karo

main ne kaha ki bahaar-e-abad ka koi suragh
us ne kaha taaqub-e-lala-e-ruKHan karo

main ne kaha ki sarf-e-dil-e-raegan hai kya
us ne kaha aarzu-e-raegan karo

main ne kaha ki ishq mein bhi ab maza nahin
us ne kaha ki az-sar-e-nau imtihan karo

main ne kaha ki aur koi pand-e-KHush-gawar
us ne kaha ki KHidmat-e-pir-e-mughan karo

main ne kaha hum se zamana hai sar-garan
us ne kaha ki aur ise sar-garan karo

main ne kaha ki zohd sarasar fareb hai
us ne kaha ye baat yahan kam bayan karo

main ne kaha ki hadd-e-adab mein nahin 'zafar'
us ne kaha na band kisi ki zaban karo