اردو हिंदी
Maine chup ke andhere mein KHud ko rakha ek faza ke liye | Shaahi Shayari
maine chup ke andhere mein KHud ko rakha ek faza ke liye

Ghazal

Maine chup ke andhere mein KHud ko rakha ek faza ke liye

Azm Bahzad

;

main ne chup ke andhere mein KHud ko rakha ek faza ke liye
hujra-e-zat mein raushni lane wali dua ke liye

be-sada saaton mein samaat ki raftar rukne ko thi
ek aahaT ne mujh se kaha jag jao KHuda ke liye

ek dushman-nazar meri narmi pe iman lane ko hai
main ajab intiha par khaDa hun kisi ibtida ke liye

koi KHush-qamati aaine ke muqabil sambhalti hui
koi tadbir-e-nazzara simTi hui ek ada ke liye

ek hairat se lipTi hui ek subuk-doshi-e-pairahan
muztarib hai achanak bichhaD jaane wali haya ke liye

ek safar hausle aur KHwahish ki tasdiq karta hua
ek raste pe madum hote hue naqsh-e-pa ke liye

meri aankhen aur in mein chamakte hue mustaqil faisle
jagmagate rahenge yunhi aane wali hawa ke liye

is se pahle ki manzil andheron mein tabdil hone lage
qafile se kaho rahnuma DhunD le rahnuma ke liye

wusat-e-asman subh-e-parwaz ka koi muzhda suna
shaKH-e-hasrat pe baiThe hue tair-e-be-nawa ke liye

ek bagh-e-talluq kisi chashm-e-hairan mein aabaad hai
ai KHuda is nazare ko sarsabz rakhna sada ke liye

'azm' is arsa-e-na-muradi se ghabra ke ye mat kaho
aisi be-rang si zindagi kis liye kis jaza ke liye