main ne ai dil tujhe sine se lagaya hua hai
aur tu hai ki meri jaan ko aaya hua hai
bas isi bojh se dohri hui jati hai kamar
zindagi ka jo ye ehsan uThaya hua hai
kya hua gar nahin baadal ye barasne wala
ye bhi kuchh kam to nahin hai jo ye aaya hua hai
rah chalti hui is rahguzar par 'ajmal'
hum samajhte hain qadam hum ne jamaya hua hai
hum ye samajhte the ki hum bhul gae hain us ko
aaj be-tarah hamein yaad jo aaya hua hai
wo kisi roz hawaon ki tarah aaega
rah mein jis ki diya hum ne jalaya hua hai
kaun batlae use apna yaqin hai ki nahin
wo jise hum ne KHuda apna banaya hua hai
yunhi diwana bana phirta hai warna 'ajmal'
dil mein baiTha hua hai zehn pe chhaya hua hai
Ghazal
Maine ai dil tujhe sine se lagaya hua hai
Ajmal Siraj