main nazar se ek andaz-e-nazar hota hua
kaun hai din raat mujh mein be-KHabar hota hua
khulta jata hai samundar baadban-dar-baadban
main safar karta hua mujh se safar hota hua
ek wusat aasman-dar-asman baDhti hui
ek parinda baal-o-par mein tar-ba-tar hota hua
ek pahnai makan se la-makan hoti hui
ek lamha muKHtasar se muKHtasar hota hua
ek angDai se sare shahr ko nind aa gai
ye tamasha main ne dekha baam par hota hua
khinch li kis ne tanab-e-KHema-e-sidq-o-safa
kaun hai is dasht-e-gham mein be-hunar hota hua
Ghazal
Main nazar se ek andaz-e-nazar hota hua
Prem Kumar Nazar