اردو हिंदी
Main na soya raat sari tum kaho | Shaahi Shayari
main na soya raat sari tum kaho

Ghazal

Main na soya raat sari tum kaho

Prakhar Malviya Kanha

;

main na soya raat sari tum kaho
bin mere kaise guzari, tum kaho

hijr, aansu, dard, aahen, shaeri
ye to baaten thin hamari, tum kaho

haal mat puchho mira, ye haal hai
jism apna, jaan udhaari, tum kaho

rakh do bas mere labon pe ungliyan
main sununga raat sari, tum kaho

phir kabhi apni sunaunga tumhein
aaj sunni hai tumhaari, tum kaho

rok lo 'kanha' use jata hai wo
wo nahin sunta hamari, tum kaho