main kya hun mujhe tum ne jo aazar pe khincha
duniya ne masihaon ko bhi dar pe khincha
zindon ka to maskan bhi yahan qabr-numa hai
murdon ko magar darja-e-autar pe khincha
wo jata raha aur main kuchh bol na paya
chiDiyon ne magar shor sa diwar pe khincha
kuchh bhi na bacha shahr mein juz rone ki rut ke
har shoala-e-awaz ko malhaar pe khincha
yusuf kabhi nilam hua karta tha lekin
yusuf ko bhi is shahr ne hai dar pe khincha
phuTe hain mere dil mein phir inkar ke sote
phir dil ne mujhe haalat-e-dushwar pe khincha
har shai ki haqiqat mein utar jaen ab aankhen
zulmat ne mujhe dida-e-bedar pe khincha
dukh aalam-e-insan ke the jo wo chhupae
KHat chand ko sar karne ka aKHbar pe khincha
tum ne to 'faqih' apni ana kas ke mujhe bhi
paikan ki tarah haalat-e-paikar pe khincha
Ghazal
Main kya hun mujhe tumne jo aazar pe khincha
Ahmad Faqih