main kisi shoKH ki gali mein nahin
zindagi meri zindagi mein nahin
hum wafa ki umid kya rakkhen
kis mein hogi jo aap hi mein nahin
koi kaisa hai koi kaisa hai
aadamiyyat har aadmi mein nahin
tazkira hi wafa ka sunta hun
ye kisi mein hai ya kisi mein nahin
us ka milna hai apne khone par
fil-haqiqat KHuda KHudi mein nahin
kis se puchhun ki raat kya guzri
ahl-e-bazm apne hosh hi mein nahin
wo ghaTa aasman par uTThi
uzr ab mujh ko mai-kashi mein nahin
guftugu un ki dosti mein hai
shak hamein un ki dushmani mein nahin
hai KHudi aur be-KHudi kuchh aur
be-KHudi ka maza KHudi mein nahin
koi chilman uThae baiTha hai
koi apne hawas hi mein nahin
ghaur se dekhiye to sab kuchh hai
kaun si baat aadmi mein nahin
ye bhi ho wo bhi ho to lutf aae
kuchh nahin lag agar lagi mein nahin
kaun sa wasf kaun si KHubi
hazrat-e-'nuh-narwi' mein nahin
Ghazal
Main kisi shoKH ki gali mein nahin
Nooh Narvi