main ki KHud apne hi andar hua TukDe TukDe
yani kuDe mein samundar hua TukDe TukDe
is imarat ka muqaddar hua TukDe TukDe
jis ki buniyaad mein patthar hua TukDe TukDe
koi laghzish kisi lamhe se hui thi shayad
gardish-e-waqt ka mehwar hua TukDe TukDe
chaDhte suraj ki utarte hi kiran aankhon mein
mere har KHwab ka manzar hua TukDe TukDe
jism mein phail gaya kanch ke rezon ki tarah
kaun ehsas ke andar hua TukDe TukDe
yaad itna hai gale mujh se mila tha koi
phir meri pusht mein KHanjar hua TukDe TukDe
waqt ki dhaar pe lamhon ke sipahi ki tarah
meri har sans ka lashkar hua TukDe TukDe
Ghazal
Main ki KHud apne hi andar hua TukDe TukDe
Sauf Sadiq