main KHudi mein mubtila KHud ko miTane ke liye
tu ne to har zarre ko zau di jagmagane ke liye
ek adna se patinge ne bana di jaan par
shama ne koshish to ki thi dil jalane ke liye
barq-e-KHirman sozab rakhna zara chashm-e-karam
chaar tinke phir jaDe hain aashiyane ke liye
munh nahin har ek ka jo saKHti-e-gardun sahe
kuchh kaleja chahiye wo zaKHm khane ke liye
KHub bulbul ko sikhaya nala-e-mastana-war
KHub ghunche ko samajh di muskurane ke liye
is qadar arzan hui hai aaj kal jins-e-kamal
jhuTe sikke Dhal rahe hain har KHazane ke liye
KHwab mein bhi ab nahin 'shair' wo garmi-e-kalam
shama si ek rah gai hai jhilmilane ke liye
Ghazal
Main KHudi mein mubtila KHud ko miTane ke liye
Agha Shayar Qazalbash