اردو हिंदी
Main KHud ko mismar kar ke malba bana raha hun | Shaahi Shayari
main KHud ko mismar kar ke malba bana raha hun

Ghazal

Main KHud ko mismar kar ke malba bana raha hun

Anjum Saleemi

;

main KHud ko mismar kar ke malba bana raha hun
yahi bana sakta hun lihaza bana raha hun

kisi ke sine mein bhar raha hun main apni sansen
kisi ke katbe ko apna katba bana raha hun

bahut bhali lagti hai use bhi meri udasi
KHushi KHushi KHud ko dil-girafta bana raha hun

hujum ko mere qahqahon ki KHabar nahin hai
bana hua hun ki main tamasha bana raha hun

har ek chehre pe KHal-o-KHad ki numaishen hain
main KHal-o-KHad ke baghair chehra bana raha hun

khuli hui hai jo koi aasan rah mujh par
main us se haT ke ek aur rasta bana raha hun

falak se upar bhi ek chhat hai zamin aisi
falak ke us par ek zina bana raha hun

meri tawajjoh bas ek nuqte pe murtakiz hai
main apni quwwat ko ek zarra bana raha hun