main KHud ko is liye manzar pe lane wala nahin
ki aaina meri surat dikhane wala nahin
tere falak ka agar chand bujh gaya hai to kya
diya zamin pe bhi koi jalane wala nahin
samundaron ki taraf ja raha hun jalta hua
ki meri aag ko baadal bujhane wala nahin
ye kaun nind mein aakar sirhane baiTh gaya
main apna KHwab kisi ko batane wala nahin
ab is qadar bhi takalluf se mil rahe ho kyun
tumhaare sath to rishta zamane wala nahin
kamar kaman hui ja rahi yun 'gauhar'
main jaise KHud ko dobara uThane wala nahin
Ghazal
Main KHud ko is liye manzar pe lane wala nahin
Afzal Gauhar Rao