main kho gaya tha koi shai talash karte hue
parae shahr mein apne talash karte hue
phir ek subh mujhe aankh phoDna paDi thi
hasin KHwab ke reshe talash karte hue
main sukhe peD se aksar kalam karta tha
hawa-e-sabz ke lahje talash karte hue
hum un parindon ke jaise hain jo zamin pe teri
shikar ho gae dane talash karte hue
kabhi kabhi to mukammal ghazal se milta hun
suKHan ke shahr mein misre talash karte hue
kahin kahin to mujhe aankh KHarch karna paDi
nafis panw ke chhaale talash karte hue

Ghazal
Main kho gaya tha koi shai talash karte hue
Rakib Mukhtar