main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue
zamin bhul gaya aasman banate hue
sitara-war chamakta har ek zarra mera
bikhar na jae kahin kahkashan banate hue
tumhaare nam pe main jal-bujha to ilm hua
ki sud banta hai kaise ziyan banate hue
mahaz par hi raha hun lahu ke bujhne tak
qalam hue mere bazu kaman banate hue
qadam kuchh aisa uTha aaKHiri qadam ki 'latif'
main do jahan se gaya ek jahan banate hue
Ghazal
Main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue
Ahmad Lateef