main kaise lauT ke jaunga apne ghar yaro
ke mere qadmon se lipTi hai rahguzar yaro
na ras aaega mujh ko koi shajar yaro
abhi tawil bahut hai mera safar yaro
abhi to shanon pe qaem hai mera sar yaro
junun nahin hai abhi mera mo'atabar yaro
sitam to dekhiye parwaz ki dua de kar
kutar raha hai koi mere baal-o-par yaro
wo ek lamha ki jo hasil-e-hayat bane
talash karta hai insan umr-bhar yaro
main aasman hun bulandi maqam hai mera
jhukae phirta hun phir bhi main apna sar yaro
tamam-umr ka hasil hansi ghaDi-bhar ki
kahan se lae koi phul ka jigar yaro

Ghazal
Main kaise lauT ke jaunga apne ghar yaro
Khawaja Javed Akhtar