اردو हिंदी
Main jurm-e-KHamoshi ki safai nahin deta | Shaahi Shayari
main jurm-e-KHamoshi ki safai nahin deta

Ghazal

Main jurm-e-KHamoshi ki safai nahin deta

Anwar Masood

;

main jurm-e-KHamoshi ki safai nahin deta
zalim use kahiye jo duhai nahin deta

kahta hai ki aawaz yahin chhoD ke jao
main warna tumhein izn-e-rihai nahin deta

charke bhi lage jate hain diwar-e-badan par
aur dast-e-sitam-gar bhi dikhai nahin deta

aankhen bhi hain rasta bhi charaghon ki ziya bhi
sab kuchh hai magar kuchh bhi sujhai nahin deta

ab apni zamin chand ke manind hai 'anwar'
bolen to kisi ko bhi sunai nahin deta