main jitni der teri yaad mein udas raha
bas utni der mera dil bhi mere pas raha
ajab si aag thi jalta raha badan sara
tamam umr wo honTon pe ban ke pyas raha
mujhe ye KHauf tha wo kuchh sawal kar dega
main dekh kar bhi use us se na-shanas raha
tamam raat ajab intishaar mein guzri
tasawwuraat mein dahshat rahi hiras raha
gale laga ke samundar hasin kashti ko
sukut-e-tira-fazai mein bad-hawas raha
'bashir' main use kis tarha be-wafa kah dun
nigah ban ke jo is dil ke aas pas raha
Ghazal
Main jitni der teri yaad mein udas raha
Bashir Farooqi