main jis ko rah dikhaun wahi haTae mujhe
main naqsh-e-pa hun koi KHak se uThae mujhe
mahak uThegi faza mere tan ki KHushbu se
main ud hun kabhi aa kar koi jalae mujhe
charagh hun to faqat taq kyun muqaddar ho
koi zamane ke dariya mein bhi bahae mujhe
main musht-e-KHak hun sahra meri tamanna hai
hawa-e-tez kisi taur se uDae mujhe
agar mera hai to utre kabhi mere ghar mein
wo chand ban ke na yun dur se lubhae mujhe
wo aaine ki tarah mere samne aae
mujhe nahin to mera aks hi dikhae mujhe
umanDti yaadon ke aashob se mein waqif hun
KHuda kare kisi surat wo bhul jae mujhe
wafa nigah ki talib hai imtihan ki nahin
wo meri ruh mein jhanke na aazmae mujhe
Ghazal
Main jis ko rah dikhaun wahi haTae mujhe
Arif Abdul Mateen