اردو हिंदी
Main jis irade se ja rahi hun usi irade se laD paDungi | Shaahi Shayari
main jis irade se ja rahi hun usi irade se laD paDungi

Ghazal

Main jis irade se ja rahi hun usi irade se laD paDungi

Komal Joya

;

main jis irade se ja rahi hun usi irade se laD paDungi
mere sipahi ko kuchh hua to main shahzade se laD paDungi

ye khel shahon ke martabe ka hadaf banenge hamare mohre
main bebasi mein shikast khae hue piyaade se laD paDungi

main apni basti ki kachchi galiyon se ishq karti hun yaad rakhna
agar jo achchha bura kahega amir-zade se laD paDungi

asir-e-naqsh-o-nigar mujh se nahin sambhalta ye chaak-e-hasti
main thak gai to bikharti miTTi se aur burade se laD paDungi

ye sabr kab tak nibhae jaun main KHud se nazren churae jaun
jo sham-e-hijran ne jaan khai har ek wade se laD paDungi