main jite-ji talak rahun marhun aap ka
gar aaj qasd kijiye mujh se milap ka
main ye samajh ke dauDun hun aaya wo shahsawar
khaTka sunun hun jab kisi ghoDe ki Top ka
tum gao apne rag ko us pas waizo
mushtaq jo gadha ho tumhaare alap ka
go duKHt-e-raz se milne mein bad Thahre mohtasib
dena nahin dharane mein hum us ke bap ka
dukh mein nahin hai koi kisu ka sharik-e-haal
yan khel mach raha hai ajab aap-dhap ka
thapwain un ki maTi ki inTen falak ne haif
tha shor jin ke mahlon mein table ki thap ka
auraq-e-ganjifa kaho asnaf-e-KHalq ko
hai shauq un ke dil mein sada Tip-Tap ka
kis tarah hum se bose ka wada kare wo shoKH
najri raqib se hai Dara munh ki bhap ka
kijo 'muhib' nigah ye chhapa hai aur hi
ganda kare hai dil ko nagin us ki chhap ka

Ghazal
Main jite-ji talak rahun marhun aap ka
Waliullah Muhib