main jaisa bhi hun tere samne hun
jo duniya hai wo de de samne hun
teri duniya hai to har chiz mein hai
jahan bhi hun main tere samne hun
abhi din hai bata kya chahta hai
abhi zinda hun tere samne hun
falak ki jagmagati chhat hai sar par
main hairan hun ki kis ke samne hun
hawa chalti hai ya gata hai koi
wo kaun aisa hai kis ke samne hun
mujhe to sharm aati hai ye kahte
main pyasa hun tumhaare samne hun
Ghazal
Main jaisa bhi hun tere samne hun
Khaleel Rampuri