main jabha sa hun us dar-e-ali-maqam ka
kaba jahan jawab na pae salam ka
sikka rawan hai kis but-e-mahshar-KHiram ka
naqsh-e-qadam nagin hai qayamat ke nam ka
kya pas-e-ghair-e-qasd hai gar qatl-e-am ka
ek murda dur rakh do masiha ke nam ka
ai rah-rawan-e-manzil-e-maqsud marhaba
chamka kalas wo rauza-e-darus-salam ka
KHanjar sambhaaliye pa-e-taslim KHam hain hum
gardan jawab le ke uThegi salam ka
ghash kaisa main to tarz-e-takallum pe mar gaya
musa ne kuchh bhi lutf na paya kalam ka
mujh se hua hai wada-e-roz-e-jaza abhi
dete ho kya jawab adu ke payam ka
ai 'shola' kah do bulbul-e-KHuld-e-barin se ab
gul-dasta bandh le mere rangin kalam ka
Ghazal
Main jabha sa hun us dar-e-ali-maqam ka
Shola Aligarhi