اردو हिंदी
Main iztirab mein hun sham se sahar ke liye | Shaahi Shayari
main iztirab mein hun sham se sahar ke liye

Ghazal

Main iztirab mein hun sham se sahar ke liye

Ajiz Matvi

;

main iztirab mein hun sham se sahar ke liye
koi charagh ata kar de raat-bhar ke liye

KHuda bachae tumhein aisi-waisi nazron se
gale mein Dal lo tawiz tum nazar ke liye

qafas-nasib hain na-ashna-e-azadi
ye qaid ek chunauti hai baal-o-par ke liye

nigah-e-barq mein wo KHar se khaTakne lage
jo tinke jama kiye hum ne apne ghar ke liye

masih-e-waqt to aisi nafas sahi lekin
ilaj hai koi zaKHm-e-dil-o-jigar ke liye

tumhaare husn-o-ada ke hamin shikar nahin
na jaane kitnon ke dil tum ne ban-sanwar ke liye

tamam-umr andhere mein kaT gai yarab
koi charagh ata kar hamare ghar ke liye

kisi ke samne sar KHam karun main kyun 'ajiz'
bani hai meri jabin un ke sang-e-dar ke liye