main intiha-e-yas mein tanha khaDa raha
saya mera sharik-e-safar DhunDhta raha
phaili thi chaaron samt siyahi ajib si
main hath mein charagh liye ghumta raha
yaad us ki dur mujh ko sar-e-sham le gai
main sari raat apne liye jagta raha
KHud ko sameT lene ka anjam ye hua
main raste pe sang ki surat paDa raha
kaghaz ki naw gahre samundar mein chhoD kar
main us ke Dubne ka saman dekhta raha
ThanDi hawa ke lams ka ehsas tha ajib
main der tak shajar ki tarah jhumta raha
Ghazal
Main intiha-e-yas mein tanha khaDa raha
Shahid Kaleem