main insan tha KHuda hone se pahle
anal-haq ki ana hone se pahle
sila tha umr-bhar ki chahaton ka
wo ek lamha juda hone se pahle
na jaane kis qadar masruf hoga
tera wada-wafa hone se pahle
tu meri chahaton mein gum hua hai
main KHushbu tha tera hone se pahle
meri gahraiyon mein raaz tere
main barsa hun ghaTa hone se pahle
ada ye ras aai thi hamein bhi
naya dikhna naya hone se pahle
jalae rakh charagh-e-arzu yun
dua paDhna dawa hone se pahle
ye naghma sa ye 'khullar' sher tera
ibaadat tha ada hone se pahle
Ghazal
Main insan tha KHuda hone se pahle
Vishal Khullar