main ek shair hun asrar-e-haqiqat khol sakta hun
nida-e-ghaib ban kar sab ke dil mein bol sakta hun
KHuda ne jis tarah khola hai mere dil ki aankhon ko
yunhi main har kisi ke dil ki aankhen khol sakta hun
wadiat ki hai qudrat ne wo mizan-e-nazar mujh ko
ki KHub-o-zisht aalam ko ba-KHubi taul sakta hun
qanaat ka ye aalam hai ki musht-e-KHak ke badle
jawahar ko bhi miTTi mein KHushi se rol sakta hun
Ghazal
Main ek shair hun asrar-e-haqiqat khol sakta hun
Seemab Batalvi