main hun meri chashm-e-tar hai raat hai tanhai hai
dard mera ham-safar hai raat hai tanhai hai
jugnuon se sath chalne ki guzarish kijiye
hijr ka lamba safar hai raat hai tanhai hai
phir wahi yaaden wahi aansu wahi aah-o-fughan
phir wahi diwar-o-dar hai raat hai tanhai hai
doston ki bhiD ko masrufiyat mein kho diya
aaj fursat baam par hai raat hai tanhai hai
tujh ko pane ke junun mein hum wahan tak aa gae
KHud ko ab khone ka Dar hai raat hai tanhai hai

Ghazal
Main hun meri chashm-e-tar hai raat hai tanhai hai
Raziq Ansari