main hun aasi ki pur-KHata kuchh hun
tera banda hun ai KHuda kuchh hun
juzw o kul ko nahin samajhta main
dil mein thoDa sa jaanta kuchh hun
tujh se ulfat nibahta hun main
ba-wafa hun ki bewafa kuchh hun
jab se na-ashna hun main sab se
tab kahin us se aashna kuchh hun
nashsha-e-ishq le uDa hai mujhe
ab maze mein uDa raha kuchh hun
KHwab mera hai ain bedari
main to us mein bhi dekhta kuchh hun
garche kuchh bhi nahin hun main lekin
us pe bhi kuchh na puchho kya kuchh hun
samjhe wo apna KHaksar mujhe
KHak-e-rah hun ki KHak-e-pa kuchh hun
chashm-e-altaf faKHr-e-din se hun
ai 'zafar' kuchh se ho gaya kuchh hun
Ghazal
Main hun aasi ki pur-KHata kuchh hun
Bahadur Shah Zafar