main ho ke tere gham se nashad bahut roya
raaton ke tain kar ke fariyaad bahut roya
hasrat mein diya ji ko mehnat ki na hui rahat
main haal tera sun kar farhad bahut roya
gulshan se wo jun laya bulbul ne diya ji ko
qismat ke upar apni sayyaad bahut roya
nashtar to lagata tha par KHun na nikalta tha
kar fasd meri aaKHir fassad bahut roya
kar qatl mujhe un ne aalam mein bahut DhunDa
jab mujh sa na kui paya jallad bahut roya
jab yar mera bigDa KHat aae se ai 'taban'
tab husn ko main us ke kar yaad bahut roya
Ghazal
Main ho ke tere gham se nashad bahut roya
Taban Abdul Hai