main hi matlub KHud hun tu hai abas
aaj se teri justuju hai abas
sadgi mein hai lakh lakh banaw
aaina tere ru-ba-ru hai abas
mujh ko donon se kuchh maza na mila
dil abas dil ki aarzu hai abas
baad aab aag KHak gard-e-ruh
zisht-ruyon mein KHub-ru hai abas
tur-o-musa hain zarre zarre mein
kab tera jalwa chaar su hai abas
lipTe hain KHwab mein wo dushman se
hath yan zinat-e-gulu hai abas
wah 'mail' KHudi mein zikr-e-ana
chup raho tum ye guftugu hai abas
Ghazal
Main hi matlub KHud hun tu hai abas
Ahmad Husain Mail

