main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun
ki apne fan se patthar ko bhi aaina banata hun
main insan hun mera rishta 'brahim' aur 'azar' se
kabhi mandir kalisa aur kabhi kaba banata hun
meri fitrat kisi ka bhi taawun le nahin sakti
imarat apne gham-KHane ki main tanha banata hun
na jaane kyun adhuri hi mujhe taswir jachti hai
main kaghaz hath mein lekar faqat chehra banata hun
meri KHwahish ka koi ghar KHuda malum kab hoga
abhi to zehn ke parde pe bas naqsha banata hun
main apne sath rakhta hun sada aKHlaq ka paras
isi patthar se miTTi chhu ke main sona banata hun
Ghazal
Main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun
Anwar Jalalpuri