اردو हिंदी
Main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha | Shaahi Shayari
main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha

Ghazal

Main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha

Guhar Khairabadi

;

main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha
har qatra jahan ek samundar ki tarah tha

ghar sare shikasta the guzar-gahen andheri
kuchh shahr mera mere muqaddar ki tarah tha

aaj us ka jahan mein koi pursan hi nahin hai
kal tak jo zamane mein sikandar ki tarah tha

tha is ke muqaddar mein likha Dubna Duba
haalanki wo dariya mein shanawar ki tarah tha

kya meri haqiqat thi gulistan mein na puchho
main tha magar ek tair-e-be-par ki tarah tha

jab shahr mein patthar hi ki thi umr ganwai
duniya mein tujhe jina bhi aazar ki tarah tha

dil ke bhi zamane mein badalte rahe andaz
dariya ki tarah tha kabhi patthar ki tarah tha

duniya-e-adab mein sabhi kahte hain jise 'mir'
ek lafz-o-maani ke samundar ki tarah tha

ras aai 'guhar' KHub mujhe dasht-nawardi
har aabla-e-pa mera gauhar ki tarah tha