اردو हिंदी
Main ghaar mein tha aur hawa ke baghair tha | Shaahi Shayari
main ghaar mein tha aur hawa ke baghair tha

Ghazal

Main ghaar mein tha aur hawa ke baghair tha

Faisal Ajmi

;

main ghaar mein tha aur hawa ke baghair tha
ek roz aaftab ziya ke baghair tha

sahil pe aa ke Dub gai naw apne aap
ek shaKHs us mein apni raza ke baghair tha

sab ro rahe the KHauf ki diwar se lage
kohram tha ki saut-o-sada ke baghair tha

kyun naqsh-e-pa tamam kisi daere mein the
ye kaun tha jo dast-e-dua ke baghair tha

'faisal' jo shahr aap hi mismar ho gaya
kya ilm kab se hamd-o-sana ke baghair tha