main fath-e-zat manzar tak na pahuncha
mera tesha mere sar tak na pahuncha
use memar likkha bastiyon ne
ki jo pahle hi patthar tak na pahuncha
tijarat dil ki dhaDkan gin rahi hai
talluq lutf-e-manzar tak na pahuncha
shagufta gal tikhe KHat ka mausam
dobara naKHl-e-paikar tak na pahuncha
bahut chhoTa safar tha zindagi ka
main apne ghar ke andar tak na pahuncha
ye kaisa pyas ka mausam hai 'ahmad'
samundar dida-e-tar tak na pahuncha
Ghazal
Main fath-e-zat manzar tak na pahuncha
Ahmad Shanas