main faqat chalti rahi manzil ko sar us ne kiya
sath mere raushni ban kar safar us ne kiya
is tarah khinchi hai mere gird diwar-e-KHabar
sare dushman rauzanon ko be-nazar us ne kiya
mujh mein baste sare sannaTon ki lai us se bani
pattharon ke darmiyan thi naghma-gar us ne kiya
be-sar-o-saman pe dildari ki chadar Dal di
be-dar-o-diwar thi main mujh ko ghar us ne kiya
paniyon mein ye bhi pani ek din tahlil tha
qatra-e-be-sarfa ko lekin guhar us ne kiya
ek mamuli si achchhai tarashi hai bahut
aur fikr-e-KHam se sarf-e-nazar us ne kiya
phir to imkanat phulon ki tarah khulte gae
ek nanhe se shagufe ko shajar us ne kiya
taq mein rakkhe diye ko pyar se raushan kiya
us diye ko phir charagh-e-rahguzar us ne kiya
Ghazal
Main faqat chalti rahi manzil ko sar usne kiya
Parveen Shakir