اردو हिंदी
Main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya | Shaahi Shayari
main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya

Ghazal

Main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya

Aslam Mahmood

;

main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya
ajab tha KHwab ki main KHwab hi mein Dar bhi gaya

hawa bhi tez na thi aur charagh mar bhi gaya
main samne bhi raha zehn se utar bhi gaya

na ehtiyat koi kaam aaya ishq ke sath
jo rog dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya

ajab thi hijr ki saat ki jaan pe ban aai
kaDa tha waqt wo dil par magar guzar bhi gaya

hawa se dosti jis ko tha mashwara mera
usi charagh ki lau se main aaj Dar bhi gaya

kabhi na mujh ko Daraega mere baatin se
ye ahd kar ke mera aaina mukar bhi gaya

kinare wale mujhe bas sadaen dete rahe
bhanwar ko naw bana kar main par utar bhi gaya

main KHak-e-pa sahi kam-tar mujhe na jaan ki main
ghubar ban ke uTha aasman par bhi gaya

main apne jism ke andar tha aafiyat se magar
lahu ke sail-e-bala-KHez mein ye ghar bhi gaya

KHata ye thi ki main aasaniyon ka talib tha
saza ye hai ki mera tisha-e-hunar bhi gaya